Sunday, August 26, 2012

Gairon pe karam apnon pe sitam

  

Artist - Lata Mangeshkar
Track - Gairon Pe Karam
Album - Ankhen
Music Director - Ravi


Ghairon pe karam apnon pe sitam, ai jaan-e-wafaa ye zulm na kar
Ghairon pe karam apnon pe sitam, ai jaan-e-wafaa ye zulm na kar
Ghairon pe karam apnon pe sitam, ai jaan-e-wafaa ye zulm na kar
rahne de abhi thodaa saa bharam, ai jaan-e-wafaa ye zulm na kar
Ghairon pe karam apnon pe sitam

ham chaahnewaale hain tere, yoon hamko jalaanaa theek nahin
mahfil mein tamaashaa ban jaayen, is darjaa sataanaa theek nahin
is darjaa sataanaa theek nahin
mar jaayenge ham mit jaayenge ham
ai jaan-e-wafaa ye zulm na kar
Ghairon pe karam apnon pe sitam, ai jaan-e-wafaa ye zulm na kar
ye zulm na kar

Ghairon ke thirakte shaane par, ye haath gawaaraa kaise karen
Ghairon ke thirakte shaane par, ye haath gawaaraa kaise karen
har baat gawaaraa hai lekin, ye baat gawaaraa kaise karen
ye baat gawaaraa kaise karen
tujhko teri bedardi ki kasam
ai jaan-e-wafaa ye zulm na kar,
Ghairon pe karam apno pe sitam
ai jaan-e-wafaa ye zulm na kar
ye zulm na kar

ham bhi the tere manzoor-e-nazar, dil chaahe to ab iqraar na kar
sau teer chalaa seene pe magar, begaanon se milkar waar na kar
begaanon se milkar waar na kar
bemaut kahin mar jaayen na ham
ai jaan-e-wafaa ye zulm na kar,
Ghairon pe karam apnon pe sitam, ai jaan-e-wafaa ye zulm na kar
rahne de abhi thodaa saa bharam,
ai jaan-e-wafaa ye zulm na kar
ye zulm na kar



No comments:

Post a Comment