Thursday, April 12, 2012

Darshan of LaxmiNarain

Darshan do Laxmi Narayan,Ankhiyan Pyasi Re.. Tere daras bin Manva mera, Rahat udasi Re.. Tere daras se dil khil jata,Jeevan mein bhar jaati aasha, Is duniya ke jhanjhavato ke sahne ko bal mil jaata Re.. Darshan... Tu hi mera swami hai, aur tu hi mera data hai, Jaisa chaahe tu, mujho vaisa hi karna bhata hai, Tham ke meri dori praphuji, rasta tu dikhlana Re.. Darshan .... Apni kirpa aisee karna, bhajan tera nit gaaoon main, Hey prabhuji is jagat ki uljhan, mein tumko na bhuloon re.. Darshan ...

No comments:

Post a Comment